Joroun Ke Dard Ki Waja
Joroun Ke Dard Ki Waja
Joroun Ke Dard Ki Waja: Marz koi bi ho ager is ka barwaqt ilaj aur aihteyat na ki jaye to marz la ilaj hone ka sath sath intehahi takaleef ka bahes ban jati hai. Pakistan samait dunyan main zeyada ter afrad joroun aur pathoun ka dard main mubtala hain jis ki bari waja logoun ka apne liye waqt ka na hona hai. ager halki warzish aur munasib khorak ko mahmoolate zindgi bna leya jaye to boht sari bemareyoun sa bacha ja sakta hai. Aur is ka sath sath pani ka kasrat sa istemal keya jaye to bi boht sari bemareyoun sa mahfooz rha ja sakta hai.
Mahereen e tib ka kahna hai k ager sardeyoun main pani ka kasrat sa istemal keya jaye to ya sahat ka liye intehahi aihmeyat ka hamil hai. Kunne sardeyoun main zeyada sardi ka bahes pani ka istemal main kami ho jati hai. jis ki badulat boht sa masail ka samna karna parh jata hai. Aur jab mosam tabdeel hota hai to bemareyan samne ana shro ho jati hain. Laihaza joroun ka dard sa bachnne ka liye pani ka kasrat sa istemal karna chaheye.
Lamun ka zareye joroun ka dard ka ilaj:
Ager kisi ka joroun main shaded darad ho aur wo afrad lamoun ka is nuskhe ka zareye joroun ka dard ka ilaj kar sakte hain. Nuskha Joroun Ke Dard Ki Waja ko khatam karne aur joroun ka ilaj ka liye istemal keya jata hai. Lamoun main wataman Ae, bi wan , bi 6, fok assid, falyo naieds, potashiem, magneeshim aur calcim paya jata hai. Mahereen ka kahna hai k na seraf lamoun hamari sahat per khushgawar aserat muratab kerta hai. balke is k chilke bhi boht mufeed hote hain.
Tareqa e teyari:
Do dermeyane size ka lamoun la ker unhein cheel ker un ka chilke gilas ka jar main dalen. Ab is jar ko mukamil tor per zatune ka tail sa bhar dain. Aur is jar ko achi tara band ker lain, Take hawa na dakhil ho sake. Is jar ko 15 din tak para rahne dain, ab is tail ko mutasra jagoun per lagain jis sa kafi had tak derd main kami waqe ho jaye gi.